ye aur baat ki takhir se alag karunga magar tujhe teri taswir se alag karunga musafirat se jo fursat hui nasib to phir thakan ko panw ki zanjir se alag karunga jo mere daimi ehsas se juda hai sabaq main kis tarah use tahrir se alag karunga kunware khwab hue ja rahe hain aawara unhen main lazzat-e-tabir se alag karunga utarna hai mujhe ab ana ko maut ke ghat so us ko lahja-e-shamshir se alag karunga mere badan mein lagi hai jo hijr ki dimak main us ko wasl ki tadbir se alag karunga riwayaton se rakhunga main 'faiz' rishta magar sukhan zara sa taqi-'mir' se alag karunga