ye aur baat ki ye sehr besh-o-kam pe chala siyah-raat ka jadu magar na hum pe chala udhar se pahle bhi kuchh sarfarosh guzare the rah-e-talab mein nishan-e-qadam qadam pe chala ye tairan-e-chaman ka nasib kya kahiye wo tir un ke liye waqf hai jo kam pe chala khuda khuda ke ishaare pe laut laut gaya tadap tadap ke tariq-e-sanam sanam pe chala kabhi khuda ki parastish kabhi sana-e-butan rah-e-arab pe kabhi jada-e-ajam pe chala asir-e-dam na hoga mera dil-e-azad kisi ka hukm kabhi mauj-e-yam-ba-yam pe chala tujhe bhi dekh liya hum ne o khuda-e-ajal ki tera zor chala bhi to ahl-e-gham pe chala ye naqsh-e-pa hain ki zanjir-e-mauj-e-khun yaro ye kaun turfa-jawan jada-e-sitam pe chala lab-o-nigah pe mohren lagi rahin 'tahir' kisi ka zor na lekin mere qalam pe chala