ye baat kyun nahin lagti bahut ajib tumhein koi kisi ko pukare jawab tak na mile bas ek khalish ka muqaddar sanwarne ke liye sawal kya kya nikhaare jawab tak na mile pas-e-nawishta-e-taqdir majra kya tha bujhae kis ne sitare jawab tak na mile agarche hum ne sadaen kai suni thin magar pukarne pe hamare jawab tak na mile na hum the ghaar-nashin aur na tur wale the kisi ko jab bhi pukare jawab tak na mile