ye bhi hua ki filon ke darmiyan milin mujh ko kahan kahan meri tanhaiyan milin fariyaad meri daftaron mein gunjti rahi raddi ke dher mein meri sab arziyan milin hum aainon ke shahr mein nikle the sair ko har gam chand ajnabi parchhaiyan milin phike tabassumon se saje kuchh mahal mile aur qahqahon mein dubi hui jhuggiyan milin chhota sa shahr hi sahi lekin yahan mujhe sahra mile sarab mile duriyan milin jaane se pahle milne ki khwahish rahi use jaane ke baad us ki mujhe chhuttiyan milin