ye bura dost hai har ek ko achchha na samajh

ye bura dost hai har ek ko achchha na samajh
aaj bin parkhe tu apnon ko bhi apna na samajh

log aksar usi andaz pe khate hain fareb
muskurahat ko mohabbat ka ishaara na samajh

hum ne sahil se bhi uthte hue tufan dekhe
tu kinare ko bhi mahfuz kinara na samajh

main ne jo kuchh bhi diya hai use lauta na mujhe
farz ko farz hi rahne de udhaara na samajh

farz insan ka insan ke kaam aana hai
ghair ke dard-o-alam ko bhi paraya na samajh

qadr main husn ki karta hun magar yaad rahe
mere akhlaq ko tu husn ka mara na samajh

hai abhi to tera hamdard-o-bahi-khwah 'shafaq'
khud ko tu itna bhi majbur-o-akela na samajh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close