ye chamak dhul mein tahlil bhi ho sakti hai

ye chamak dhul mein tahlil bhi ho sakti hai
kaenat ek nai tashkil bhi ho sakti hai

tum na samjhoge koi aur samajh lega ise
khamushi dard ki tarsil bhi ho sakti hai

kuchh sambhal kar raho un sada mulaqaton mein
dosti ishq mein tabdil bhi ho sakti hai

main adhura hun magar khud ko adhura na samajh
mujh se mil kar teri takmil bhi ho sakti hai

katna raat ka aasan bhi ho sakta hai
dil mein ek yaad ki qindil bhi ho sakti hai

is qadar bhi na badho daman-e-dil ki jaanib
ye mohabbat koi tamsil bhi ho sakti hai

han dil-o-jaan fida karda 'zahir' us pe magar
ye bhi imkan hai tazlil bhi ho sakti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close