ye dekh mere naqsh-e-kaf-e-pa mere aage aage bhi kahan jata hai rasta mere aage ai tishna-labi tu ne kahan la ke duboya is bar to dariya bhi nahin tha mere aage aise nahin manunga main hasti ka tawazun taqtia kiya jae ye misra mere aage ai qamat-e-dil-dar-e-guzistha ki muafi pahle koi mear nahin tha mere aage kyunkar sukhan aaghaz kiya jae ki wo aankh la rakhti hai ajdad ka likkha mere aage hairat hai ki deti hain mujhe tana-e-wahshat tartib se rakkhi hui ashya mere aage main jaanta hun us ke sabhi bhed sabhi bhaw duniya ne kabhi raqs kiya tha mere aage main ishq ke aadab zara sikh lun pahle baithegi adab se yahi duniya mere aage