ye dil hai to aafat mein paDte rahenge

ye dil hai to aafat mein padte rahenge
yun hi ediyan hum ragadte rahenge

mohabbat hai bad-nam kyun kar banegi
wo hum se hamesha bigadte rahenge

agar ishq rakhta hai to aql kho de
ye donon rahenge to ladte rahenge

bure din buri saaten ishq mein hain
sab ahbab hum se bichhadte rahenge

wo sar kat dalen hamara to kya gham
gharaz aise hi panw padte rahenge

kahin aashiqon ka thikana nahin hai
zamane mein basti ujadte rahenge

junun ne tamasha banaya hai hum ko
darichon ke parde udhadte rahenge

kabhi zulf se ho sakenge na sar-bar
isi pech se hum pichhadte rahenge

na khat bhejna hum se mauquf hoga
kabutar ki shah par ukhadte rahenge

jo kuchh hum ne chaha unhon ne na chaha
hum is masale mein jhagadte rahenge

gham-o-dard zewar hai hum aashiqon ka
nagin dagh ke dil mein jadte rahenge

qadam mai-kade se na niklega bahar
yahin nashshe mein girte-padte rahenge

judai mein ai 'bahr' marna bhala hai
jiyenge to khiffat se gadte rahenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close