ye dil wo hai ki ghamon se jise faragh nahin

ye dil wo hai ki ghamon se jise faragh nahin
misal lala se kya dun kuchh ek dagh nahin

gali mein teri hi dil bar se gir pada dilbar
main dhundun aur kahan ja kahin suragh nahin

hai dagh-e-ishq se raushan aur aah-e-sard se sard
hamare dil ka to khas-khana be-charagh nahin

pada jahan tera naqsh-e-qadam mere gul-ru
wo gul-zamin hai kahan jo ki bagh-bagh nahin

ai mere ghuncha-dahan mere nargis-e-makhmur
tere tamashe ka mushtaq kaun bagh nahin

hai kaun ghuncha surahi bana na tere huzur
hai kaun phul jo mai ka tere ayagh nahin

kahan ka sher kahan ki ghazal kahan ki bait
karun jo fikr bhi ab wo dil-o-dimagh nahin

na 'azfari' se karo nazm o nasr ka mazkur
na ji kuchh in dinon apna dimagh chagh nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close