ye din ye raat ye sham-o-sahar samet liye ghazal ke shauq ne kitne pahar samet liye faza mein aisa tassub ka zahr phail gaya na jaane kitne parindon ne par samet liye samaj teri marammat na ho sakegi kahin jo hum gharibon ne dast-o-hunar samet liye ye soch kar ki andhere na zindagi ban jaen jahan jahan mile shams-o-qamar samet liye bikher pae na hum raston mein phul magar mile jo khar sar-e-rah-guzar samet liye pata bataega ab waqt un ki manzil ka musafiron ne to rakhte safar samet liye samajh mein aa gai 'shahid' agar koi bhi radif jo qafiya bhi lage mo'atabar samet liye