ye falak ye mah-o-anjum ye zamin ye zamana tere husn ki hikayat mere ishq ka fasana ye hai ishq ki karamat ye kamal-e-shairana abhi munh se baat nikli abhi ho gai fasana ye mera payam kahna tu saba muaddabana ki guzar gaya hai pyare tujhe dekhe ek zamana mujhe chaak-e-jeb-o-daman se nahin munasibat kuchh ye junun hi ko mubarak rah-o-rasm-e-amiyana tujhe hadsat-e-paiham se bhi kya milega nadan tera dil agar ho zinda to nafas bhi taziyana wo ada-e-dilbari ho ki nawa-e-ashiqana jo dilon ko fath kar le wahi fateh-e-zamana