ye farq jite hi ji tak gada-o-shah mein hai wagarna baad-e-fana musht-e-khak rah mein hai nishan maqam ka gham aur na rahnuma koi gharaz ki sakht aziyyat adam ki rah mein hai gada ne chhod ke duniya ko naqd-e-din paya bhala ye lutf kahan shah ke izz-o-jah mein hai pasand-taba nahin apni chaar din ka milap maza to zist ka ai meri jaan nibah mein hai