ye ghazal ki anjuman hai zara ehtimam kar lo kisi gham ko mai bana lo kisi dil ko jam kar lo kahan subh-e-gham ka suraj kahan sham ka sitara isi rukh pe zulf bikhre yahi subh-o-sham kar lo wo habib ho ki rahbar wo raqib ho ki rahzan jo dayar-e-dil se guzre use ham-kalam kar lo ye kahan ke mohtasib hain ye kahan ki maslahat hai jo unhen nahin mayassar wahi shai haram kar lo