ye hadsa bhi to kuchh kam na tha saba ke liye gulon ne kis liye bose teri qaba ke liye wahan zamin par un ka qadam nahin padta yahan taraste hain hum log naqsh-e-pa ke liye tum apni zulf bikhero ki aasman ko bhi bahana chahiye mahshar ke iltawa ke liye ye kis ne pyar ki shamon ko bad-dua di hai ujad rahon mein jalti rahen sada ke liye abhi to aag se sahra pade hain raste mein ye thandaken hain fasane ki ibtida ke liye sulag raha hai chaman mein bahaar ka mausam kisi hasin ko aawaz do khuda ke liye