ye hai aab-e-rawan na thahrega umr ka karwan na thahrega chhod di hai jagah sutunon ne sar pe ab saeban na thahrega ret par hai asar hawaon ka koi nam-o-nishan na thahrega har qadam jo tumhaari samt utha sai-e-raegan na thahrega marhala aa gaya tasadum ka fasla darmiyan na thahrega dil ka sauda hai kar-e-dil-daran farq-e-sud-o-ziyan na thahrega kyon sunate ho sab ko haal apna har koi raazdan na thahrega chhod degi zamin mehwar ko mustaqil aasman na thahrega apni aankhon mein aaj use bhar lo der tak ye saman na thahrega juz teri mahfilon ke aur kahin 'abid'-e-na-tawan thahre thahrega