ye hijr ka rasta hai jis par main tanha tanha si chal rahi hun

ye hijr ka rasta hai jis par main tanha tanha si chal rahi hun
bas us ki yaadon ki dhup hai aur main qatra qatra pighal rahi hun

ye wasl-lamhon ki raushni hai jo dil ki duniya mein aa basi hai
mahakti yaadon ki chandni hai main jis ki kirnon se jal rahi hun

rah-e-wafa mein bhatakti rahti jo tere sapnon mein gum na rahti
tere khayalon mein ji rahi hun tere tasawwur mein dhal rahi hun

shikasta-khwabon ki kirchiyan hain jo meri aankhon mein chubh rahi hain
main khar-zaron mein chal rahi hun main girte girte sambhal rahi hun

zamane bhar ki ye talkhiyan hain jo mere lahje mein aa basi hain
main apne sheron mein dhire dhire ye zahar-e-maya ugal rahi hun

karungi kya baal-o-par ko apne qafas mein jina jo lazmi hai
kahan hai 'shahin' shadmani dukhon ki duniya mein pal rahi hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close