ye ibtida hai abhi bab-e-iKHtitam kahan

ye ibtida hai abhi bab-e-ikhtitam kahan
lahu tarang ka qissa hua tamam kahan

likhi hai khun se hum ne hikayat-e-hasti
magar kitab mein hoga hamara nam kahan

hamara nam na puchho na kuchh pata puchho
hamari subh kahan hai hamari sham kahan

hamein to kuchh bhi nahin hai khabar ki ab ke hum
agar uthenge yahan se to phir qayam kahan

mata-e-hosh to hum mai-kade mein kho aae
chala hai le ke hamein ab surur-e-jam kahan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close