ye inqalab bhi ai daur-e-asman ho jae mera qafas bhi muqaddar se aashiyan ho jae maal-e-zabt-e-fughan marg-e-na-gahan ho jae kisi tarah to mukammal ye dastan ho jae samajh to lenge wo mujh se agar bayan ho jae sukut had se guzar jae to ziyan ho jae qafas se dur sahi mausam-e-bahaar to hai asiro aao zara zikr-e-ashiyan ho jae diya hai dard to rang-e-qubul de aisa jo ashk aankh se tapke wo dastan ho jae zaban-e-khushk bhi jumbish mein la nahin sakte ye bebasi bhi na minjumla-e-fughan ho jae qafas bhi bigdi hui shakl hai nasheman ki ye ghar jo phir se sanwar jae aashiyan ho jae nigah-e-garm se dekho na ashk-e-hasrat ko ye chahte ho ki ye os bhi dhuan ho jae hayat nok-e-mizha tak hai ashk-e-rangin ki palak zara si bhi jhapke to raegan ho jae 'siraj' dekh lo be-ansuon ke bhi ro ke ye sai bhi na kahin sai-e-raegan ho jae