ye intiha-e-junun hai ki ghair hi sa laga jo aashna tha kabhi aaj ajnabi sa laga wo ek saya jo behis tha murde ki manind qarib aaya to ek aks-e-zindagi sa laga khud apni lash liye phir raha tha kandhon par wo aadmi to na tha phir bhi aadmi sa laga wo ek wajud jo pale hue tha sanpon ko nazar ki zad mein jo aaya to bansuri sa laga tamam umr jise paik-e-dosti samjha hua jo tajraba wo naqsh-e-dushmani sa laga wo ek karb-e-musalsal jo dil jalata tha tum aa ke pas jo baithe to sarkhushi sa laga ba-zahir ek hi chehra tha samne lekin kabhi kisi ka laga to kabhi kisi ka laga mere shuur ki kam-maigi ki ai 'sadiq' yaqin bhi kabhi taswir-e-wahm hi sa laga