ye ishq alam gham zanjiren ek khwab ki lakhon tabiren aankhon se utarti si dil mein kis chand ki hain ye taswiren sinon mein andheron ki jhanko hain lakhon machalti tanwiren dekhi hain mohabbat mein hum ne aankhon se badalti taqdiren hai un ka nasiba jud-o-karam hain apna muqaddar taziren ab aks tumhaara hai dil mein kis kaam ki mere taswiren hai dil ke lahu ki ghammazi 'akhtar' ye tumhaari tahriren