ye jahan-naward ki dastan ye fasana dolte sae ka mere sar-burida khayal hain ki dhuan hai suni sarae ka wo hawa ka chupke se jhankna kisi bhule bisre madar se kahin ghar mein shahr ki zulmaten kahin chhat pe chand kirae ka gil-e-mah ghumte chaak par kaf-e-kuza-gar se phisal gai ki bisat-e-gardish-e-sal-o-sin yahi farq apne parae ka mera nutq bhi hai nigah bhi meri shairi ka gawah bhi teri dosti ke mahaz par wo larazta aks kinae ka ki usi ke nam tak aae the ye sada-o-sidq ke silsile wahi shakhs jis ne tere liye kiya qatl sochti rae ka