ye ji mein hai ki mohabbat ka bab likhkungi janab-e-man ko main aali-janab likkhungi kabhi jo bhule se padh le wo jaan hi lega main raaz-e-ishq ko yun be-hisab likkhungi jo hausla hai to munh pher kar guzar jae main us ki chashm-e-karam ko itab likkhungi mere nasib ka dar-o-madar hai us par dil-e-kharab ko khana-kharab likkhungi hisab lungi teri kaj-adai ka aksar kabhi wafa ko teri be-hisab likkhungi buland parcham-e-insaniyat rahe jis mein main daur-e-nau ka wo aala nisab likkhungi hazar mujh ko malamat ka samna ho magar azab-e-zist ko kar-e-sawab likkhungi jo mere baad padhi jae ek muddat tak main husn-o-ishq ki aisi kitab likhungi