ye jo chupke se aae baithe hain lakh fitne uthae baithe hain wo nahin hain to dard ko un ke sine se hum lagae baithe hain ye bhi kuchh ji mein aa gai hogi kya wo mere bithae baithe hain tazkira wasl ka nahin khali wo bhi kuchh lutf pae baithe hain mujh ko mara hai par khajalat se wo bhi gardan jhukae baithe hain rang jamta hai yan na aane ka yani mehndi lagae baithe hain mujh ko mahfil mein dekh kar bole aap yan kyun ki aae baithe hain khair ho hain bigad ke aasar kuchh wo munh ko banae baithe hain gham hamein kha raha hai to kya gham hum bhi to gham ko khae baithe hain zad mein gar hai adu to ho wo to ghat mujh par lagae baithe hain khoe jaane ka apne dhyan nahin kuchh to aisa hi pae baithe hain sharm se hain wo lakh parde mein go mere pas aae baithe hain shama san go ghule hi jate hain us se par lau lagae baithe hain us gali mein basan-e-naqsh-e-qadam hum bhi panw jamae baithe hain ho na ai shama husn par nazan wo bhi mahfil mein aae baithe hain shokhiyan khud hain parda-dar un ki kyun wo munh ko chhupae baithe hain fard-e-baatil samajh ke duniya ko naqsh-e-hasti mitae baithe hain kya hai us khush-khiram ki aamad fitne jo jae jae baithe hain tur jis aag ne jalaya tha hum wo dil mein chhupae baithe hain chashmaken ghair se dikha denge hum bhi aankhen ladae baithe hain kal taqaddus-maab masjid the aaj rindon mein aae baithe hain la-ubaali khiram hai 'majruh' waza kaisi banae baithe hain