ye jo TuTe se hain alfaz sabhi mere hain

ye jo tute se hain alfaz sabhi mere hain
jitne bikhre hain yahan saz sabhi mere hain

aaj ke daur-e-zaban-bandi mein mujh ko ab tak
de rahe hain jo ek aawaz sabhi mere hain

hukmran nanga hai lekin ye kahe phirta hai
resham o atlas o kam-khwab sabhi mere hain

ek zamane se kaleje se rakha hai in ko
dil mein pinhan hain jo sab raaz sabhi mere hain

naghma-zan jo the yahan aaj wo hain jaan ba-lab
jo bhi hain git ke dam-saz sabhi mere hain

zat ki ek bulandi pe pahunchne ke liye
bhige par se jo hain parwaz sabhi mere hain

han isi tarah se ek umr guzari hai 'nawed'
chahe jaise hun ye andaz sabhi mere hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close