ye kab kaha tha nazaron se KHauf aata hai

ye kab kaha tha nazaron se khauf aata hai
mujhe to chand sitaron se khauf aata hai

mein dushmanon ke kisi war se nahin darta
mujhe to apne hi yaron se khauf aata hai

khizan ka jabr to sine pe rok lete hain
hamein udas bahaaron se khauf aata hai

mile hain dosto baisakhiyon se gham itne
mere badan ko sahaaron se khauf aata hai

main iltifat ki khandaq se dur rahta hun
talluqat ke ghaaron se khauf aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close