ye kaba ye kashi haram dekhte hain ki apna khuda tujh mein hum dekhte hain zamane ke sab khubsurat nazare tumhaari hi aankhon se hum dekhte hain nahin kuchh bharosa hamein agle pal ka nazar bhar ke tum ko sanam dekhte hain teri intizari se ukta gaya dil teri rah muddat se hum dekhte hain yahi nasl-e-nau ka tariqa hai logon alag zawiye se qalam dekhte hain hamari ghazal ho gai kahkashan na jahan tak sitaron ko hum dekhte hain ghazal le rahi hai nai ek karwat ye 'dushyant' 'ghaalib' adam dekhte hai