ye kaenati zehanat ka daur hai bhai

ye kaenati zehanat ka daur hai bhai
yahan khuda ka tasawwur kuchh aur hai bhai

sunao kaise ho kaise hain chand par haalat
zamin par to wahi zulm-o-jaur hai bhai

koi palak bhi jhapakta nahin tamashe mein
madariyon ka tilismana taur hai bhai

watan ki subh se hijrat ki raat dur nahin
hira se chand qadam ghaar-e-saur hai bhai

tumhein to izn-e-safar mil chuka mubarak ho
hamara nam abhi zer-e-ghaur hai bhai

jo kaenat ki chhat se nazar karo 'shahid'
wahan se aalam-e-hairat hi aur hai bhai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close