ye kah gaya but-e-na-ashna suna ke mujhe ki aap mein nahin rahta hai koi pa ke mujhe naqab kahti hai main parda-e-qayamat hun agar yaqin na ho dekh lo utha ke mujhe milunga khak mein aansu ki tarah yaad rahe milo na aankh kahin aankh se gira ke mujhe ada se khinch raha hai kaman wo tir-andaz qaza pukar rahi hai zara bacha ke mujhe tumhaare waste is dil ka mol hi kya hai ada se dekh lo ek din nazar utha ke mujhe tere hisab mein teri qaba ka daman hun ki jab mizaj mein aaya chala luta ke mujhe main dar raha hun tumhaari nashili aankhon se ki lut len na kisi roz kuchh pila ke mujhe buland nam na hoga sitam-shiari se tum aasman na ho jaoge sata ke mujhe buton ko takte guzri hai sharm aaegi 'jalil' le na chalo samne khuda ke mujhe