ye kah kah ke hum dil ko bahla rahe hain mulaqat ke din qarib aa rahe hain wo gulshan mein yun sair farma rahe hain idhar aa rahe hain udhar ja rahe hain saron par masaib bhi mandla rahen hain magar git khushiyon ke hum ga rahe hain samajhne ko koi bhi raazi nahin hai hamin dil to hum dil ko samjha rahe hain sulajhti nahin zulf bhi jin se apni masail zamane ke suljha rahe hain na ahl-e-siyasat ki chaalon mein aana wo jal apna har or phaila rahe hain jinhen tum ne thukra diya tha kisi din abhi tak wo zakhmon ka sahla rahe hain