ye kaisa shahr ka manzar dikhai deta hai

ye kaisa shahr ka manzar dikhai deta hai
har ek samt samundar dikhai deta hai

sulagti dhup mein aksar dikhai deta hai
mujhe wo shakhs to patthar dikhai deta hai

samajh raha tha jise apna gham-gusar bahut
usi ke hath mein khanjar dikhai deta hai

khuda hi jaane ki rahta hai us mein aakhir kaun
muhib dasht mein ek ghar dikhai deta hai

usi ke niche rukega thaka hua har shakhs
ye ped aisa tanawar dikhai deta hai

ugegi fasl mohabbat ki kis tarah rahman
dilon ka khet hi banjar dikhai deta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close