ye kaun apne andar bedar ho gaya hai

ye kaun apne andar bedar ho gaya hai
meri ana ke aage diwar ho gaya hai

ehsas mere gham ka izhaar ho gaya hai
tarkash ka tir phir se be-kar ho gaya hai

din-raat ki kashakash bezar kar gai to
ladne ko zindagi se tayyar ho gaya hai

patthar ki be-hisi hai har dastan dil ki
tahzib ka anokha mear ho gaya hai

aankhen bata rahi hain ek ek baat dil ki
duniya ki chahaton ka aazar ho gaya hai

apni haqiqaton se chehron ko kya chhupaen
aaina aap apna kirdar ho gaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close