ye kaun chhod gaya us pe khamiyan apni mujhe dikhata hai aaina jhurriyan apni bana ke chhap lo tum un ko surkhiyan apni kuen mein phenk di hum ne to nekiyan apni badalte waqt ki raftar thamte hain huzur badalte rahte hain aksar jo topiyan apni qataren dekh ke lambi hazaron logon ki main phad deta hun aksar sab arziyan apni nahin lihaf ghilafon ki kaun baat kare tu dekh phir bhi guzarti hain sardiyan apni zalil hota hai kab wo use hisab nahin abhi to gin raha hai wo dihadiyan apni yun baat karta hai wo pur-tapak lahje mein magar chhupa nahin pata wo talkhiyan apni bhale dinon mein kabhi ye bhi kaam aaega abhi sambhaal ke rakh lo udasiyan apni hamein hi aankhon se un ko sunana aata nahin suna hi dete hain chehre kahaniyan apni mere liye meri ghazlen hain canwas ki tarah ukerata hun main jin par udasiyan apni tamam falsafe khud mein chhupae rahti hain kahin hain dhup kahin chhanw wadiyan apni abhi jo dhund mein lipti dikhai deti hain kabhi to dhup nahaengi bastiyan apni buland hauslon ki ek misal hain ye bhi pahad roz dikhate hain chotiyan apni bhula rahi hai tujhe dhup 'dwij' pahadon ki tu kholta hi nahin phir bhi khidkiyan apni