ye kaun sa parwana mua jal ke lagan mein hairat se jo hai shama ki angusht dahan mein kahte hain use chah-e-zanakhdan ghalati se bose ka nishan hai ye tere seb-e-zaqan mein wo aaina-tan aaina phir kis liye dekhe jo dekh le munh apna har ek uzw-e-badan mein wo subah ko is dar se nahin baam par aata nama na koi bandh de suraj ki kiran mein mazmun nahin likhte hum use dagh-e-jigar ka rakh dete hain lale ki kali khat ki shikan mein ye gard-e-kudurat se pas-e-marg tha dil saf dhabba na laga khak ka bhi mere kafan mein zindan mein asiron se ye kahta tha mah-e-misr ghurbat hi mein aaram mila aur na watan mein