ye kaun sa suraj mere pahlu mein khada hai mujh se to 'rashid' ab mera saya bhi bada hai tu jis pe khafa hai mere andar ka ye insan us baat pe mujh se bhi kai bar lada hai dekha jo palat kar to mere sae mein gum tha wo shakhs jo mujh se qad-o-qamat mein bada hai sadiyon use pala hai samundar ne sadaf mein pal-bhar ke liye jo meri palkon mein jada hai khurshid ke chehre pe lakiren hain lahu ki khanjar sa koi raat ke sine mein gada hai ek lafz jo nikla tha safen dil ki ulat kar muddat se mere lab pe wo be-jaan pada hai takra ke palatta hun lagatar udhar se ye sang-sifat kaun sar-e-rah khada hai