ye khub-ru na chhuri ne katar rakhte hain nigah-e-lutf se aalam ko mar rakhte hain charagh-e-gor na sham-e-mazar rakhte hain bas ek hum ye dil daghdar rakhte hain sharab-e-ishq na ai dost pijiyo hargiz isi nashe ka hum ab tak khumar rakhte hain meri zabani koi us se is qadar puchhe kahin ye jhute bhi wade shumar rakhte hain qayamat aa chuki didar-e-haq hua sab ko hum ab talak bhi tera intizar rakhte hain agarche khak barabar kiya falak ne 'bayan' dimagh par wahi hum khaksar rakhte hain