ye khud-kushi to meri jaan ek bahana hai nadi se rabta mera bahut purana hai ye mere sath udasi ka aakhiri din hai phir is ke baad kahin aur aab-o-dana hai meri zamin pe phaila hai aasman-e-adam azal se mere zamane pe ek zamana hai tumhaari maut pe rone ka dil bahut tha magar jo ped sukh gaya hai use girana hai samundaron se kaho baadalon ki or chalen hamari aankh mein aansu hai aur chhupana hai diya jalao ki ab sham dhalne wali hai khushi manao ki apna bhi ek thikana hai