ye kis maqam pe thahra hai karwan-e-wafa na raushni ki kiran hai kahin na taza hawa hui hai jab se yahan nutq-o-lab ki bakhiya-gari siwae hasrat-e-izhaar dil mein kuchh na raha is ehtimam se shab-khun pada ki muddat se ujad si nazar aati hai shahr-e-dil ki faza tamam umr usi ki talash mein guzri wo ek aks jo aaina-e-nazar mein na tha ye kis ne aaj dabe-panw dil mein aate hi khayal-o-fikr ka qufl-e-sukut tod diya kuchh is tarah se teri yaad ki mahak aai ki jaise daman-e-sahra mein koi phul khila shikast-e-dil pe 'raza' hum bhi tut kar roe magar na itne ki so hi sake na ham-saya