ye kya kaha ki jamal un ka be-hijab na tha ye mahtab nahin tha ye aaftab na tha na hai wo daur jo majruh-e-inqalab na tha tumhaare husn mere ishq ka jawab na tha jahan-e-gham mein tasawwur bhi kaamyab na tha 'shifa' hamari qayamat mein aaftab na tha ye tha hijab-e-fareb us ka ya fareb-e-hijab ki be-hijab tha wo aur be-hijab na tha wo barhami se sahi mujh ko dekh to lete kharab tha magar itna to main kharab na tha khata muaf ho wo din bhi yaad hain ki nahin hamein hijab tha aur aap ko hijab na tha dil-e-shafaq se lab-e-gul se chashm-e-shabnam se kahan kahan se farozan tera shabab na tha 'shifa' wo rota na kyunkar gulon ke hansne par jo gham-nasib ki gham mein bhi kaamyab na tha