ye kya khabar hai ki wo be-khabar nahin aata hamein to hosh hi do-do pahar nahin aata tumhaari chaal ke fitne bhi hain qayamat ke ki jin ke khauf se mahshar idhar nahin aata tamam umr agar aab-e-ashk se sinchen umid ke to shajar mein samar nahin aata wo pan kha ke raqibon ko de rahi hain ugal ilahi kyon mere munh ko jigar nahin aata zakat-e-husn nikalo uthao lutf-e-shabab ye waqt ja ke to phir umr bhar nahin aata diya mariz-e-mohabbat ko nuskha-e-tap-e-diq tujhe ilaj bhi ai chaaragar nahin aata bhala main aur khushamad karun raqibon ki wahi batate ho jo kaam kar nahin aata wo be-naqab hain istada ghair ke aage aur aaftab sawa neze par nahin aata ye kya mohabbat-o-ulfat ki baad marne ke koi mazar mein lene khabar nahin aata haram mein zahido kya dil bahalne ki surat lagao lakh main us rah par nahin aata kaha tha ghair se kya mujh ko dekh kar tum ne aur us pe kahte ho mujh ko to shar nahin aata niwala munh ka nahin fann-e-shairi ai 'bazm' ye kaam wo hai ki jo umr bhar nahin aata