ye kya malum tha bargashta qismat is qadar hogi

ye kya malum tha bargashta qismat is qadar hogi
gulon ki aarzu mein umr kanton mein basar hogi

junun ki ibtida hai apne diwane ko samjhao
wo aalam aur hoga jab mohabbat hosh par hogi

rah-e-ulfat mein ek aisi bhi manzil aane wali hai
jahan gham ka asar hota na kuchh apni khabar hogi

nahin malum kab jaan-e-chaman jalwa dikhaega
khuda malum kab shakh-e-tamanna bar-war hogi

abhi tak to koi taskin ki surat nahin nikli
yunhi ai 'soz' shayad zindagi apni basar hogi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close