ye kya shikwa ki wo apna nahin hai

ye kya shikwa ki wo apna nahin hai
mohabbat khun ka rishta nahin hai

jo main ne kah diya ho kar rahega
mera mashrab gham-e-farda nahin hai

bahut pahle main us ko padh chuka hun
meri qismat mein jo likkha nahin hai

ghata rahta hai dil mein kuchh dhuan sa
ye baadal aaj tak barsa nahin hai

jawani jitne munh utni hi baaten
mohabbat aaj bhi ruswa nahin hai

wafa mein rahaten kya dhundte ho
wafa diwar hai saya nahin hai

ye baat ahl-e-nazar kab jaante hain
akela to hai dil tanha nahin hai

sahi apne na ban pae kisi ke
koi apna na ho aisa nahin hai

mizaj-e-yar se nalan ho 'anjum'
tumhein shayad ghazal kahna nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close