ye log jis se ab inkar karna chahte hain wo guftugu dar-o-diwar karna chahte hain hamein khabar hai ki guzrega ek sail-e-fana so hum tumhein bhi khabar-dar karna chahte hain aur is se pahle ki sabit ho jurm-e-khamoshi hum apni rae ka izhaar karna chahte hain yahan tak aa to gae aap ki mohabbat mein ab aur kitna gunahgar karna chahte hain gul-e-umid farozan rahe teri khushbu ki log use bhi giraftar karna chahte hain uthae phirte hain kab se azab-e-dar-badri ab is ko waqf-e-rah-e-yar karna chahte hain jahan kahani mein qatil bari hua hai wahan hum ek gawah ka kirdar karna chahte hain wo hum hain jo teri aawaz sun ke tere hue wo aur hain ki jo didar karna chahte hain