ye main nahin hun jo shamon ko ghar mein aata hun kahin se khud sa koi roz dhundh lata hun khula na ji pe jo dukh main wahi bhulata hun zara si baat ko kitne baras lagata hun tumhaari aankh ka gum-karda rabt banne ko ye roz khud ko kahan se main dhund lata hun main apne zehn mein tanha raha hun misl-e-khayal main apne ji ke hi dukh sau tarah manata hun bahut dinon se nahin mujh pe din dhala jaise main tere raston pe sham banne aata hun ye mauj mauj si gahrai ban ke chhu na mujhe ki main wasia kinaron ke dukh uthata hun wo yaad hai meri baaton ki tu ki ab bhi tujhe main dekh lun to bahut khud ko yaad aata hun main intishaar hi mein rah saka mukammal 'talkh' wo silsila hun ki judne mein tut jata hun