ye mana zindagi mein gham bahut hain hanse bhi zindagi mein hum bahut hain teri zulfon ko kya suljhaun ai dost meri rahon mein pech-o-kham bahut hain nahin hai munhasir kuchh fasl-e-gul par junun ke aur bhi mausam bahut hain ghubar-aluda chehron par na jaana inhin mein kiqabaad-o-jam bahut hain mujhe kuchh saz hai nashtar se warna mere zakhmon ke yan marham bahut hain qafas ye jaan kar toda tha main ne qafas ko tod kar bhi gham bahut hain karun kya chaara in aankhon ka 'maikash' ki un ke samne pur-nam bahut hain