ye manzar be-dar-o-diwar hota agar main khwab se bedar hota bahut aasan tha us ko yaad rakhna par agla marhala dushwar hota safar kuchh aur bhi mushkil se katta agar ye rasta hamwar hota agar ye daera takmil pata jahan-e-sabit-o-sayyar hota jo teri aarzu mujh ko na hoti to koi dusra aazar hota