ye mat kaho ki bhid mein tanha khada hun main takra ke aabgine se patthar hua hun main aaankhon ke jangalon mein mujhe mat karo talash daman pe aansuon ki tarah aa gaya hun main yun be-rukhi ke sath na munh pher ke guzar ai sahab-e-jamal tera aaina hun main yun bar bar mujh ko sadaen na dijiye ab wo nahin raha hun koi dusra hun main meri buraiyon pe kisi ki nazar nahin sab ye samajh rahe hain bada parsa hun main wo bewafa samajhta hai mujh ko use kaho aaankhon mein us ke khwab liye phir raha hun main