ye mat samajh ki chand-sitaron ke sath hun suraj nahin hai ba'd mein jis ke wo raat hun jo dosti ka farz nibhane mein kat gaya main khak par pada wo mohabbat ka hat hun ye tere mere bich nahin jang aakhiri tu bhi abhi hayat hai main bhi hayat hun ahbab mujh ko chhod rahe hain to chhod jaen main aap apni zat mein ek kaenat hun ye log mujh ko zahr banane pe hain musir warna mizaj se to main aab-e-hayat hun qatre se bhi hun kam ye samundar ka inkisar qatre ko ye guman ki samundar-sifat hun 'kaifi' main jaise apne buzurgon ka hun asa bachchon ki bhi kitab qalam hun dawat hun