ye mat samajh ki tere sath kuchh nahin karega nizam-e-arz-o-samawat kuchh nahin karega ye tera mal kisi roz das hi lega tujhe agar tu is mein se khairaat kuchh nahin karega abhi pitari to kholi nahin madari ne tu kah raha hai kamalat kuchh nahin karega mujhe yaqin dila sab rahega waisa hi junun-e-ahl-e-kharabat kuchh nahin karega hamin sabil nikalenge baithne ki koi wo shakhs bahr-e-mulaqat kuchh nahin karega agar dilon mein lapakti hai aag nafrat ki to phir ye ahd-e-muwakhat kuchh nahin karega