ye matlab hai ki muztar hi rahun main bazm-e-qatil mein

ye matlab hai ki muztar hi rahun main bazm-e-qatil mein
tadapta lotta dakhil hua aadab-e-mahfil mein

asar kuchh aap ne dekha hamare jazb-e-kaamil ka
udhar chhute kaman se aur idhar tir aa gae dil mein

ilahi kis se puchhen haal hum gor-e-ghariban ka
ki sare ahl-e-mahfil chup hain us khamosh mahfil mein

idhar aa kar zara aankhon mein aankhen dalne wale
wo latka to bata de jis se dil hum dal den dil mein

badal de is tarah ai charkh husn o ishq ka manzar
pas-e-mahmil ho laila qais ho laila ke mahmil mein

bandhe shart-e-wafa kyunkar nibhe rasm-e-wafa kyunkar
yahan kuchh aur hai dil mein wahan kuchh aur hai dil mein

hamare dil ki duniya rah gai zer-o-zabar ho kar
qayamat dha gaya zanu badalna un ka mahfil mein

ye kya andher hai kaisa ghazab hai kya tamasha hai
mitao bhi usi dil ko raho bhi tum usi dil mein

tamasha hum bhi dekhen dub kar bahr-e-mohabbat ka
apahij ki tarah baithe hain kya aaghosh-e-sahil mein

tariqa is se aasan aur kya hai ghar banane ka
mere aaghosh mein aa kar jagah kar lijiye dil mein

badha ai 'nuh' jab tufan dariya-e-hawadis ka
to ghote wart-e-gham ne de diye afkar-e-sahil mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close