ye mohabbat ka war hai sahab dil bada sogwar hai sahab har taraf log chhanw ke dushman aur shajar saya-dar hai sahab kyun mera dil khizan-rasida hai har taraf to bahaar hai sahab panw rakhna sambhal sambhal ke yahan hasraton ka mazar hai sahab kya ajab hai ki hum ko khud pe nahin aap par eatibar hai sahab pahla maqsad hai khelna tum se sanwi jit haar hai sahab panw haalat ki giraft mein hain ishq sar par sawar hai sahab gham se rishta bahut purana hai mere bachpan ka yar hai sahab aap 'ansar' ko jaante hi nahin ye to yaron ka yar hai sahab